Pages

Tuesday, February 8, 2011

“Bhrashtachar”-(Hindi Poem)

Chhote Chintu ne-
Poochha jab,
Amma ! kya hai
‘Bhrastachar”
Maa ke maathe pr-
‘BL” dikhte,
gumsum pakad,
khadi diwar,
abhi hai isko
padhna likhna,
apne paanv-
 khada hona,
mujh Budhiya ka
ek sahara,
sbki aankho ka tara,
kahin bata doon
“maane”(meaning) iska,
bha n jaye isko,
raah pakad le-
us duniya ki-
bhool n jaye mujhko.

Agar bura ‘maane’ samjha to
kal ko shor machaye,
Bhrast aur Bhrashtachari,
se “panga” (confrontation)  liye- N Jaye..>>>>>,

Do roti jo khati -peeti,
chain mera chhin jaye,
kal jo Panch , Pradhan,
sune ya fir koi-
Chaukidaar,
Kaan kaan me khabar
Pahunchti jila rajy
Dilli Darbaar.

Chintu khata chupdi roti,
Chaat chaat ke achar(pickle) ,
Maa ne sar sahlaya –
Uska-boli apna gun-
Jo bhula. jiska teekha-
 Sa vyavhar. saraa gala,
Jo kaam n aaye,
Chintu beta “Bhrast-Achar”.

Tu jo pyar se chaat raha-
Sundar svad bhara achar,
Ye jo kl ko bigad gaya to
Isko kahte ‘Bharasht-Achar”.

Surendrashukla”Bhramar”
7.2.11 8.0 AM, Jalandhr (PB)

3 comments:

  1. superb poem........bahut acha likha hai!!!!!keep it up!

    ReplyDelete
  2. Thank you anonymous ji ..kaash ki aap apna naam likhte ..samarthn ke liye dhanyvad
    bhramar 5

    ReplyDelete
  3. i love it.............bahut aacha laga ji...aur humey mail bhej te rehna agar aisi aur kavita ho sunna pasand karunga shukragujaar hu aapka ...............!!

    ReplyDelete

हिंदी बनाने का उपकरण ऊपर लगा है कृपया वहां आप अपनी भाषा / हिंदी में लिखें - लिख यहाँ कापी कर लायें धन्यवाद-
आप की प्रतिक्रियाएं हमें ऊर्जा देती हैं