Hava chali purjor,
Haath me aai inke doar,
Khusi –Malang .
Kitne baithe log,
‘dheel’di saari,
hava kahan hai kaisi,
dushman kitne,
najar gadaye,
unchi tirchhi chaal,
‘Kaat’ jo tumko,
samajh n aaye,
to kyon chale-
udane usko,
‘gur’ sikho kuchh,
unse tum bhi,
unchi aaj udate,
chhaye duniya me,
kal se ‘ve’
tike huye hain baithe,
aandhi tufaan dhoop,
andhera. Badal-
pal pal chhaye,
kabhi gire kuchh
'paare' sa ye .
lahraati ud jaye,
‘Race course’ me-
aaye ho to,
buddhi lagao,
‘chaar’ bulao,
gyan -samiksha,
sab kuchh tere ‘haath’-
abhi uda jo-
unchi paye- kal
Agni Prithvi saath,
Daudo bhago
Tej udao,
Upar neeche,
Kaat ke lao,
Inhe bachao,
Is ‘patang’ me ,
Baithe saare kitne log.
Surendrashukla “bhramar”
7.45PM 9.2.11 Jal (PB)
No comments:
Post a Comment
हिंदी बनाने का उपकरण ऊपर लगा है कृपया वहां आप अपनी भाषा / हिंदी में लिखें - लिख यहाँ कापी कर लायें धन्यवाद-
आप की प्रतिक्रियाएं हमें ऊर्जा देती हैं