Monday, February 7, 2011

100 Vin (hundredth) Manjil Ka Construction ( HINDI POEM).

Sun lo ab
Raje ka baja,
Badi kamayi,
Jor shor se
Juti media,
Jaga tantra ,
Police prashasan,
C.B.I.,
Sab me fir…
Mach gaya hadkamp.

Soye sare
jag gaye hain,
100vi manjil ka construction,
dekh gaye hain,
kahin kabutar ud na jaye,
upar upar,
rishte naate –dena –lena,
ho jaye n,
sb chhumantar.

Yaad aaya,
Avaidh foundation
Encroachment,
Obstruction ,
Pollution.

Khod rahe ab-
Maren mantra,
Yahan gada hai
Vahan pada hai,
“Kaala Dhan”

‘Hiss’ karke
fufkar raha hai,
dekho ab bhi,
kaala naag.

Aao kuchlen fan ko-
Uske,
Doodh nahi ab daalen,
Abhi bahut na khoya hamne,
‘vish’ ko abhi utaren,
‘Bil’ me
chhupne valon ki,
‘Dahshat’ na,
aasman chhaye,
“Naag” pakdne vala-
Bhayi-Yash-want n
Kal ban paaye.

Kuchh din baja
Jor bajega,
Public ka fir
Kaan fatega,
Maatha apna pakde
Fir sab,
Ginati bhi jayenge,
Bhool.

Kitna saara yad rakhen vo,
900 crore,
1200 crore,
2000 crore,
1.7 lakh crore,
Guinise book of
World record me
Naam likhane
Ki hoar.

Aur abhi n jane
Kya kya ? rakhna -
Hoga yaad,
Square, guna,
Mathmetics-
Kitni kathin hai.
Dimag pr jor
Tension,
Kyon ki
Kumbhkaran hain
Hm ! ab jaage
Chhah maah baad ,
Faailen gum hain,
Kuchh hain bhi to
Chaat rahi hain
Dhool.

Surendrashukla “Bhramar”
7.2.11 -4.55 A.M. Jalandhar
Punjab.

No comments: