Kauaa and Hans ( Crow and gease) –Bharmar hindi poem.
Ek hans jo,
kya hove?
Kauye chahe noche-
Khaye-ye bhi,
Mere sang,
Gore se kaala ,
Ban jaye-sikhe-
‘Ye’ gun dhang.
Hans doodh sa-
Moti bhaye
Shital- pavitra-
Roj nahaye.
Kudrat ne kuchh
Alag banaya .kyon-
Chore vo dhang?
Kauye kavn kavn kr jage,
Man me unke jaise
Jang. Chhiri hai –
Roj .bhag rahe-
Kuchh kaanp rahe,
Tarkeeben bedhang
“Chaal”- Jaal ve 
bunte ghumen,
khate peete sath.
Hans bechara ..
Chaukanna to..us 
Kapat buddhi anjan.
“vo” apni he gaye jata,
rahta par tha sath,
kauye usse naa lad paate
‘gaata’ jo vo sanch,
antar-roop badalta 
kuchh pal 
sbke muh bs “haan”.
Khatra jb dekha 
Kauvon ne –swarth,
Dharam gun apne,
Fenko isko,
Maro isko,
Chamri chalo utaren,
Ya ‘ye’ apna..
Rang badal de,
Ya fir chalo-
 jala den. neend n 
aati. Pagal ve-
 sb bhaage firte-
raat raat bhar 
unko bhayi –
sapne hi bs khaate.
‘Bhramar’ kahen,
jb rang badalna,
roop badalna,
itna aasan hota,
to kauva bhi-
mere bhayi –kyon 
na Hans sa hota???
Surendrashuklabhramar
8.03 A.M. Jal (PB) 11.2.11
  



 
No comments:
Post a Comment